Articles

Yatra Bima Kaise Claim Karen

by Reahan Sharma Writer

Yatra bima kya hai:

 Yah safar par nikalte samay liya jane wala insurance hai jo raste main achanak paida hone wale sambhavit pareshaniyon ko door karne main arthik madad karta hai, jaise saman ka gum ho jana, hawai jahaz chuut jan, medical emergency aadi. Yadi durbhagyawash aise kisi samasya se dochar hona pada to yatra bima ka claim kaise milega iski jankari zaruri hai . 

Yatra bima claim:

Claim ke liye avedan tab diya jata hai jab safar main kisi pareshani se samana hoti hai.  Insurance company bima ka claim tabhi swikar karti hai yadi wah hadsa policy ke coverage main aata hai. 

Yatra bima claim kaise karein:

  • Sabse pahla kam hai insurance company se sampark karna aur ghatna ki jankari denda. Agla kadam hai bima claim ka form bharkar bima company main jama karana.

  • Ghatna kisi bhi tarah ka ho, claim ke liye yatra ka detail, ticket, boarding pass, passport ki copy sabhi jama hota hai.

  • Yatra bima kae prakar ke paristithiyon ko cover karta hai, isliye alag-alag isthiti main alag-alag tarah ke kagaz claim form ke sath jama kiye jate hai, jaise-


-Medical emergency main doctor ki parchi, bhugtan ki pakki rasid, elaj se jude sabhi kagaz, aur discharge paper doctor ke dastakhat aur mohar ke sath jama hote hai. Agar durghatna ke karan aspatal main bharti hona pada, to police ka FIR bhi hona jaruri hai.


-Saman gum ho jane par ya deri se milne par airlines ka isse juda communication sabut ke taur par jarur lena chahiye. Iske alawa jo saman gum hua hai uski list, saman ki keemat ke sath claim form main lagayen. Airlines se mile muawze ki jankari bhi insurance company ko de.


-Passport gum hone par police report aur FIR ki copy, dobara passport banane ka kharcha, aur usse judi kagazi karywahi  sabut ke taur par jama karna hota hai.


-Yadi personal liability se juda mamla hai, to jis wajah se liability ka mamla bana, us ghatna ka detail insurance company ko dene padta hai. Agar mamla police tak pahuncha hai to FIR ki copy bhi honi chahiye. iske alawa agar koi sabut ho to use bhi lagana chahiye.


- Videsh main mrityu hone par doctor ki report, death certificate, postmortem report claim form ke sath lagaye jate hain. Agar durghatna main mrityu hoti hai to police ki report ki copy bhi sath lagti hai.


- Agar hawai jahaz ka apharan hota hai to riha hote he airlines se apharan ka detail le kar claim ke sath lagana hota hai. Yatri ki yadi mrityu ho jati hai to uske nominee ko yah kam karna hota hai.


-Flight main deri hone par airlines dwara jari kiya gaya communication, cancelled ticket, aur deri ka karan, yah sab detail claim form ke sath jama karna hota hai.

insurance company ki nirdharit samay seema ke andar claim ka avedan jama karna jaruri hai. Insurance company sabhi baton par gaur karne ke bad yatra bima claim ka faisla karti hai.


Sponsor Ads


About Reahan Sharma Junior   Writer

3 connections, 0 recommendations, 13 honor points.
Joined APSense since, August 13th, 2019, From Mumbai, India.

Created on Aug 21st 2019 06:05. Viewed 349 times.

Comments

No comment, be the first to comment.
Please sign in before you comment.